Monday 16 March 2015

episode 1

Rakesh ne jaldi jaldi apna computer ka kaam niptaya. Ye machine use badi bhaane lagi thi. Ek tv jesi screen par button se jo bhi type karo aa jata tha. sab khte h ki wo jo dabba laga h sath me wo iska dimaag h. wahi se sab jod ghatana hota h. Phle to calculator dekh kar he rakesh achambhit hua tha ab to calcultaor se kai guna badi machine thi. Office me nayi nayi aayi thi ye machine, sahab ne bataya ki ise computer khte h. Rakesh ne apne sahab se ise seekhne ki ichha zaahir ki. Rakesh ki utsukta dekh kar sahab ne bhi use sikhana shuru kar diya. Rakesh usnke daftar me file laane aur calculation k chote mote kaam kar deta tha. Rakesh daftar se free ho kar sahab k ghar jaa kar bhi file wagerah dekh leta tha. Higher secondary ki thi usne lekin kaam me lagan bahut thi uski isiliye apne sahab ka manpasand bhi tha. Dheere Dheere usne is nayi machine par kaam karna seekh lia tha aur to aur is par wo files banana bhi sikh gaya tha. 
Rakesh apne ghar par sabse bada tha. Ghar to khne ko ghar tha bas kuch sarkaari jagah ko gher kar us par plastic sheet laga kar rhte the. Rakesh ko aksar wapas aane me der ho jati thi. Radhika, rakesh ki biwi der raat tak uska intezaar karti rhti. tb  tak wo rakesh k bhai behano ko jo bhi ghar me bacha hota usse khana bana kar khila deti thi. Fir jo bach jata usse dono pati patni aadha pet bhar kar so jate. Din bhar rakesh daftar me kaam karta fir shaam ko sahab k ghar par.
Aaj fir ghar jaate hue andhera ho gaya. Radhika pareshan ho rahi hogi. Rakesh soch raha tha kitne acche se radhika ne ghar ki jimmedari khud par le li h. par ek chinta thi jo abhi bhi use sataye ja rhi thi ki wo plastic sheet ka dera jise wo ghar khta h, wo abhi bhi wahi hoga ya kahi nagar nigam k amle ne use hata to nahi diya hoga.
Ye rakesh aur radhika ki zindagi ka ek hissa tha. Unhe rozana apna ghar banana padna tha is sapne k sath ki ek din wo apna "Ghar" bana paynge, aesa ghar jo koi na tod paye. Jiski deeware radhika aur rakesh k iraado c majbut ho aur jiske kamre unke dil se bade, jaha wo angan me apne sapno ki tulsi laga paye.
continue...